Monday, October 24, 2005

Yeh Kaisee Jindagee

Mohabbat kar to le,
Par baar baar thukraatee hai jindagee,
Jaane kaise kaise rang,
Dikhaatee hai jindagee.

Jahaan se chale the,
Laut kar waheen aa gaye hain,
Baar baar khud ko,
Dohraatee hai jindagee.

yeh to shuruaat hain,
abhee to puree jindagee baakee hain,
yahee kah kar baar baar,
daraatee hai jindagee.

Mujhe rotaa dekh,
Mere saamane aainaa rakhatee hain,
Meree ronee soorat dikhaa dikhaa kar Mujhe,
hanshaatee hai jindage.

Meraa dil eik saraay (dharma shalaa),
Ban gayaa hain shaayad,
Har roj nayaa koi kiraaydaar isame,
Laatee hai jindagee.

Hanshaa kar rulaatee hai,
Rulaa kar hansaatee hai,
Mere baune pan par jaise meraa majaak,
udaatee hain jindagee.

No comments:

Post a Comment