Thursday, October 20, 2005

Humane Sanam ko khat likhaa

Humane sanam ko khat likhaa,
Tamaam haal–e-ulfat likhaa
Humane sanam ko khat likhaa
Khat mein har eik baat thee,
Pahalee ghadee kee yaad thee,
Jab pahalee baar unahe dekhaa maine,
Phir aur kuch kahaan dekhaa maine.
Vo iss par thee ,
Main uss paar thaa,
Unase Najar milaane ke liye,
Main bahut bekaraar thaa.
Najare milee , nain lad gaye,
Uss eik lamahe mein,
Hum unake pyaar mein pad gaye.
Phir akshar unakee soorat,
Ko hum dhoondhaa kiye.
Har galee , har koonche se,
Unakaa rastaa dekhaa kiye.
Fizaa mein khamoshee thee,
Par hum bekaraar the.
Unko haal-e-dil sunaane ko,
Hum bahut behaal the.
Par unake saamane,
Dil kee baat,
Hothon par aatee hi nahin thee.
Par unake saamane,
Dil kee baat,
Humse kahee jaatee hi nahin thee.
Fir badee himmat kar,
Humane sanam ko khat likhaa.
Tamaam haal-e-ulfat likhaa.

Samaa eik dum se,
Jaise badal saa gayaa.
Rah Rah kar dil,
Naach uthataa thaa.
Baar baar unake jawaab,
Kee aahat sunataa thaa.
Ab Chupake chupake hum,
Unahe dekhaa karate the.
Apane khat kaa jawaab,
Unake chehre par dhoonda karate the.
Par jiss samay hum,
Mohabbat ke nashe mein choor the.
Hume pataa hi kahaan thaa,
Jisake haath meraa khat lagaaa,
Vo unake abbaa hujoor the.
Kaise kaise unhone kee hamaare thukaai,
Kyaa kahen,
Kaise huvee unake saamane meree ruswaai,
Kyaa kahen,
Bedardee se unake vaalid hume
Thokate rahe,
Aur hum pitate pitate yahee
Sochate rahe
Kyon ,aakhir kyon
Humane Sanam ko khat likhaa
Tamaam haal-e-ulfat likhaa.

2 comments:

  1. Hi DA Kaise ho, mujhe waqt nahi milta aaj kal, regularly tumhare yahaan aane.

    ReplyDelete
  2. bhagyaa jee me fine..umeed hain aap bhee theeq hi hongee...puree tarah pataa to nahin par abhaash saa huvaa hain ki aap kisee pareshaanee mein hain agar kabhee jaroorat samjhe to aap mujhse share kar sakatee hain

    ReplyDelete