Monday, September 19, 2005

wo eik pal

vo pal,jab tum
saath chchod kar chal diye,
naa waapis mudh kar dekhaa,
naa hi kabhee koi aawaaj dee.
kabhee kabhee lagataa hain,
meree jindagee us eik pal
mein tahar see gayee hain.

Par jindagee eik pal mein
simat to sakatee nahin,
thodee dare ke liye
tahar to sakatee hain,
hameshaa ke liye
to ruk sakatee nahin.

yeh baat aur hain,
aaj bhee teree yaad,
eik tees se ban
dil mein uthatee hain
aur andar tak cheer jaatee hain.
yeh baat aur hain,
aaj bhee tere saath,
bitayaa huvaa har khushnumaa lamhaa
mujhe gudgudaa jaataa hain.

ab Ulfat kee har rasam
iss tarah nibhaa letaa hoon,
un lamho ko yaad kar ke
chand aansun bahaa letaa hoon

aur ab shaayad dil
gum uthaate uthaate thaq gayaa hain
isee liye shaayad ab
naa teraa intjaar
naa teree chahat
naa teree arjoo
na teree justjoo
iss dil ko kahin
kuch mahshooh hotaa nahin.

kuch to hain,
jo peeche kahin choot gayaa hain,
tere mere beech,
hameshaa ke liye toot gayaa hain.
achaa hain agar,
baakee jo bachaa hain
vo bhee toot jaaye,
too mujhse aur main tujhse
pakkee tarah chchoot jaaye

2 comments:

  1. well said... as I always say... time is the healer... time moves on... time waits for no one... so keep going with it :)

    ReplyDelete